pahaDon ki bulandi par khaDa hun
zamin walon ko chhoTa lag raha hun
har ek raste pe KHud ko DhunDhta hun
main apne aap se bichhDa hua hun
bhare shahron mein dil Darne laga tha
ab aa kar jangalon mein bas gaya hun
tu hi markaz hai meri zindagi ka
tere atraf misl-e-daera hun
ujale jab se katrane lage hain
siyah-raaton ka sathi ban gaya hun
marahim shakl kab ka mar chuka hai
mujhe mat chheDiye main dusra hun
Ghazal
PahaDon ki bulandi par khaDa hun
Suleman Khumar

