pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha
bas ek zara si tajalli se tur kanp uTha
hawa ne jaise hi tewar dikhae hain apne
nikal raha tha diye se jo nur kanp uTha
paDhi jo jabr-o-tashaddud ki dastan kahin
kabhi shuur kabhi la-shuur kanp uTha
labon pe aa na saki apne dil ki ek bhi baat
ki jab bhi pahuncha main us ke huzur kanp uTha
saza kuchh aisi mili ek be-qusur ko aaj
hua tha asl mein jis se qusur kanp uTha

Ghazal
PahaD hone ka sara ghurur kanp uTha
Shahid Jamal