اردو हिंदी
Pae sajda agar mujhko na tera aastan milta | Shaahi Shayari
pae sajda agar mujhko na tera aastan milta

Ghazal

Pae sajda agar mujhko na tera aastan milta

Aziz Warsi

;

pae sajda agar mujh ko na tera aastan milta
jo paiham milne wala tha sukun-e-dil kahan milta

meri masti pe zahid kis liye ab rashk karta hai
teri taqdir mein hota to lutf-e-jawedan milta

haram tak hi agar mahdud hoti aashiqi apni
tum hi socho ki phir tum sa but-e-kafir kahan milta

meri shaffaf peshani ne meri laj rakh li hai
mujhe kya kya samajhte tum jo sajdon ka nishan milta

'aziz'-e-warsi jo tum bhi ibn-ul-waqt ho jate
tumhaara tazkira bhi dastan-dar-dastan milta