اردو हिंदी
PaDti hai nazar jab ki par-o-baal par apne | Shaahi Shayari
paDti hai nazar jab ki par-o-baal par apne

Ghazal

PaDti hai nazar jab ki par-o-baal par apne

Joshish Azimabadi

;

paDti hai nazar jab ki par-o-baal par apne
rota hun qafas mein bahut ahwal par apne

ushshaq ke ahwal pe kya us ko nazar hai
wo aap diwana hai KHat-o-KHal par apne

tahsin-e-amal kab use manzur hai ai shaiKH
nazren jo kare aap hi aamal par apne

kis tarah se main pir karun ishq ka dawa
phabti nahin ye baat sin-o-sal par apne