paDi rahegi agar gham ki dhul shaKHon par
udas phul khilenge malul shaKHon par
abhi na gulshan-e-urdu ko be-charagh kaho
khile hue hain abhi chand phul shaKHon par
nikal paDe hain hifazat ko chand kanTe bhi
hua hai jab bhi gulon ka nuzul shaKHon par
hawa ke samne un ki bisat hi kya thi
dikha rahe the bahaaren jo phul shaKHon par
nisar-e-gul ho mila hai ye izn bulbul ko
hua hai hukm gul-e-tar ko jhul shaKHon par
wo phul pahunche na jaane kahan kahan 'rahbar'
nahin tha jin ko Thaharna qubul shaKHon par

Ghazal
PaDi rahegi agar gham ki dhul shaKHon par
Rajendra Nath Rahbar