اردو हिंदी
PaDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi | Shaahi Shayari
paDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi

Ghazal

PaDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi

Anwar Masood

;

paDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi
bijli ne ghaTaon pe jo tahrir likhi thi

chup sadh ke baiThe the sabhi log wahan par
parde pe jo taswir thi kuchh bol rahi thi

lahraate hue aae the wo amn ka parcham
parcham ko uThae hue neze ki ani thi

Dube hue taron pe main kya ashk bahata
chaDhte hue suraj se meri aankh laDi thi

is waqt wahan kaun dhuan dekhne jae
aKHbar mein paDh lenge kahan aag lagi thi

shabnam ki tarawish se bhi dukhta tha dil-e-zar
ghanghor ghaTaon ko barasne ki paDi thi

palkon ke sitare bhi uDa le gai 'anwar'
wo dard ki aandhi ki sar-e-sham chali thi