paDa tha likhna mujhe KHud hi marsiya mera
ki mere baad bhala aur kaun tha mera
ajib taur ki mujh ko saza sunai gai
badan ke neze pe sar rakh diya gaya mera
yahi ki sans bhi lene na degi ab mujh ko
ziyaada aur bigaDegi kya hawa mera
main apni ruh liye dar-ba-dar bhaTakta raha
badan se dur mukammal wajud tha mera
mere safar ko to sadiyan guzar gain lekin
falak pe ab bhi hai qaem nishan-e-pa mera
bas ek bar mila tha mujhe kahin 'azar'
bana gaya wo mujhi ko mujassama mera
Ghazal
PaDa tha likhna mujhe KHud hi marsiya mera
Faryad Aazar