paDa hai zindagi ke is safar se sabiqa apna
jahan chalta hai apne sath KHali rasta apna
kisi dariya ki surat bah rahi hun apne andar main
mera sahil baDhata ja raha hai fasla apna
luTa ke apna chehra tak rahi hun apna munh jaise
koi pagal ulaT ke dekhta ho aaina apna
ye basti log kahte hain mere KHwabon ki basti hai
ganwa baiThi hun mein bad-qismati se hafiza apna
gae mausam mein main ne kyun na kaTi fasl KHwabon ki
main ab jagi hun jab phal kho chuke hain zaiqa apna
fasana-dar-fasana phir rahi hai zindagi jab se
kisi ne likh diya hai taq-e-nisyan par pata apna
Ghazal
PaDa hai zindagi ke is safar se sabiqa apna
Aziz Bano Darab Wafa