paD gai jaise aql par miTTi
KHak manzil hai rahguzar miTTi
moD sakte hain gili hone tak
TuT jati hai sukh kar miTTi
be-zamiri jafa-kashi nafrat
nam badle hue hai har miTTi
phir bhi zalim ki pyas baqi hai
ho chuki hai lahu mein tar miTTi
aao taza musalahat kar len
pichhli baaton pe Dal kar miTTi
jitne farman the buzurgon ke
ho gae aaj be-asar miTTi
kapDe si si ke ghar chalati hai
hai wo kambaKHt kitni nar miTTi
ungliyon ke hunar se ai 'akmal'
shakl pati hai chaak par miTTi
Ghazal
PaD gai jaise aql par miTTi
Akmal Imaam