paya maza ye hum ne apni nigah laDi ka
jo dekhna paDa hai ghussa ghaDi ghaDi ka
uqda to naznin ke abru ka hum ne khola
ab kholna hai us ki KHatir ki gul-jhaDi ka
is rashk-e-mah ke aage kya qadr hai pari ki
kab pahunche husn us ko aisi giri-paDi ka
is gul-badan ne hans kar ek le ke shaKH-e-nasrin
hum se kaha ki kije kuchh saf is chhaDi ka
jab hum 'nazir' bole ai jaan ye wo chhaDi hai
dil TuTta hai jis par jun phul pankhuDi ka

Ghazal
Paya maza ye humne apni nigah laDi ka
Nazeer Akbarabadi