اردو हिंदी
Paya jab se zaKHm kisi ko khone ka | Shaahi Shayari
paya jab se zaKHm kisi ko khone ka

Ghazal

Paya jab se zaKHm kisi ko khone ka

Hasan Akbar Kamal

;

paya jab se zaKHm kisi ko khone ka
sikha fan hum ne be-ansu rone ka

baDon ne us ko chhin liya hai bachchon se
KHabar nahin ab kya ho haal khilaune ka

ham-safaron se tark-e-safar ko kahta hun
Dar hai rah mein aisi baaten hone ka

ro dena bhi majburi to hai lekin
lutf alag hai dil mein aansu bone ka

miThe KHwab bhi hum dekhen gar mausam ho
lambi gahri miThi ninden sone ka

mere liye kya mere dam-e-aKHir tak hai
khel ye sara hone aur na hone ka