paya-e-KHisht-o-KHazaf aur guhar se uncha
qad yahan be-hunari ka hai hunar se uncha
ek din gharq na kar de tujhe ye sail-e-wajud
dekh ho jae na pani kahin sar se uncha
mangta kis se mujhe sang-e-sar-afraazi de
koi darwaza to hota tere dar se uncha
ham-qadam hai tapish-e-jaan to pahunch jaunga
ek do jast mein diwar-e-shajar se uncha
ek bigDi hui tamsil hain sare chehre
koi manzar nahin meyar-e-nazar se uncha
dhup utri to simaTna paDa KHud mein us ko
ek saya ki jo tha apne shajar se uncha
bulbula uThne ko uTTha to magar bechaara
rakh saka KHud ko na dariya ke bhanwar se uncha
kaisi pasti mein ye duniya ne basaya hai mujhe
nazar aata hai har ek ghar mere ghar se uncha
wo kahan se ye taKHayyul ke ufuq laega
aasman ab bhi nahin hai mere sar se uncha
KHak-e-'shibli' se KHamir apna bhi uTTha hai 'faza'
nam urdu ka hua hai isi ghar se uncha
Ghazal
Paya-e-KHisht-o-KHazaf aur guhar se uncha
Faza Ibn e Faizi