pas mein rah ke nigahon se bachae rakhna
apne dukh-dard ko apnon se chhupae rakhna
hum guDa-bhag ghaTa-joD nahin kar pate
apni aadat mein hai rishton ko nibhae rakhna
KHud ko KHud se hi chhupane ka tariqa hai ye
apni baaton mein sada KHud ko lagae rakhna
pyas jab hath uThae to na KHali jae
baadalo itni to ummid jagae rakhna
aandhiyon se kabhi bujhti nahin ummid ki lau
yun hi ehsas ke dipak ko jalae rakhna
kuchh bhale log kahani ki tarah milte hain
dukh kisi ka bhi ho kandhe pe uThae rakhna

Ghazal
Pas mein rah ke nigahon se bachae rakhna
Pratap Somvanshi