pas-e-wahshat hai to yaad-e-ruKH-e-laila bhi na kar
ishq ko qaidi-e-zanjir-e-tamanna bhi na kar
mauj-e-KHuddar agar hai to su-e-ghair na dekh
kisi tufan kisi sahil ka bharosa bhi na kar
zinat-e-dahr ek aaraish-e-baatil hi sahi
nigah-e-shauq ko mahrum-e-tamasha bhi na kar
shirk hai shirk ye ai waiz-e-ashufta-KHayal
gham-e-uqba ko sharik-e-gham-e-duniya bhi na kar
kaif-angez nahin baada-e-imroz na ho
dil ko hasrat-kash-e-paimana-e-farda bhi na kar
mahram-e-raaz-e-mohabbat hai agar dil tera
to KHuda ke liye is raaz ko ruswa bhi na kar
hairat-e-shauq hi ban jae na ghammaz 'rawish'
to is andaz se nadan use dekha bhi na kar
Ghazal
Pas-e-wahshat hai to yaad-e-ruKH-e-laila bhi na kar
Ravish Siddiqi

