pas-e-iKHlas saKHt hai taklif
ta-kuja KHatir-e-wazi-o-sharif
chashm o dil se na thi ye chashm hamein
ki na girya ke ho sakenge harif
subh tak tha wahin ye muKHlis bhi
aap rakhte the shab jahan tashrif
mujh se tujh bin gaya jo fasl-e-rabi
kab ye ashjar se kare hai KHarif
yun kabhu tu ne mai na di saqi
na-e-hulqum ko samajhte qif
apne tain aap wo nahin pate
fikr mein tujh kamar ki hain jo zaif
kyun na wahi ho sher 'qaem' ka
hai diwane ki aaKHirash tasnif
Ghazal
Pas-e-iKHlas saKHt hai taklif
Qayem Chandpuri