اردو हिंदी
Parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya | Shaahi Shayari
parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya

Ghazal

Parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya

Ata Shad

;

parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya
hum se pi aur hamein ruswa sar-e-bazar kiya

dard ki dhup mein sahra ki tarah sath rahe
sham aai to lipaT kar hamein diwar kiya

raat phulon ki numaish mein wo KHush-jism se log
aap to KHwab hue aur hamein bedar kiya

kuchh wo aankhon ko lage sang pe sabze ki tarah
kuchh sarabon ne hamein tishna-e-didar kiya

tum to resham the chaTanon ki nigah-dari mein
kis hawa ne tumhein pa-basta-e-yalghaar kiya

hum bure kya the ki ek sidq ko samjhe the sipar
wo bhi achchhe the ki bas yar kaha war kiya

sangsari mein to wo hath bhi uTTha tha 'ata'
jis ne masum kaha jis ne gunahgar kiya