parsa tu parsai par na kar itna ghurur
main agar banda hun aasi par mera maula ghafur
ma-siwa didar KHwahish hai mujhe kis chiz ki
tu paDa phirta hai jannat DhunDhta hur-o-qusur
main agarche rind hun to aap ko main aap ko
zohd se tere mujhe matlab na kuchh kar-e-zarur
tere tain gharra hai apni parsai zohd ka
mere tain allah ke fazl-o-karam se hai surur
rind ke mashrab par ai zahid tabassum mat kare
bhed us ka kuchh na pawega tu hai mani se dur
zaKHm-e-tegh-e-abru sah jawe na tujh se bul-hawas
ek shama se hua tha jis ke surma koh-e-tur
chutaD upar sar jhukana us ko tu samjha hai faKHr
hai nahin qabil tu fazlullah ka ai be-shuur
kya tujhe malum hai dair-o-haram ki ek rah
but-parasti us jagah aur is jagah hai yak umur
dam ghanimat hai to har dam yaad mein le dam ke tain
zikr daim 'afridi' ho charagh-andar-qubur
Ghazal
Parsa tu parsai par na kar itna ghurur
Qasim Ali Khan Afridi

