paniyon mein rasta shoalon mein ghar dekhega kaun
ai guman-e-KHush-nazar ab ke udhar dekhega kaun
chashm-e-pur-nam soz-e-dil apni jagah lekin yahan
mausam-e-sar-sabz mein raqs-e-sharar dekhega kaun
is sadi se us sadi tak rishte-nate dosti
pichhe kya kya rah gaya hai lauT kar dekhega kaun
dirham-o-dinar hain inam hijrat ka magar
ghar se gar sab hi chale jaen to ghar dekhega kaun
Ghazal
Paniyon mein rasta shoalon mein ghar dekhega kaun
Qamar Siddiqi

