pani mein aks aur kisi aasman ka hai
ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai
diwar par khile hain nae mausamon ke phul
saya zamin par kisi pichhle makan ka hai
chaaron taraf hain sabz salaKHen bahaar ki
jin mein ghira hua koi mausam KHizan ka hai
sab kuchh badal gaya hai tah-e-asman magar
baadal wahi hain rang wahi aasman ka hai
dil mein KHayal-e-shahr-e-tamanna tha jis jagah
wan ab malal ek safar-e-raegan ka hai
Ghazal
Pani mein aks aur kisi aasman ka hai
Ahmad Mushtaq