pane ki tarah ka na to khone ki tarah ka
hona bhi yahan par hai na hone ki tarah ka
malum nahin nind kise kahte hain lekin
karta to hun ek kaam main sone ki tarah ka
hansne ki tarah ka koi mausam mere bahar
manzar mere andar koi rone ki tarah ka
aisi koi haalat hai ki muddat se badan ko
ek marhala darpesh hai Dhone ki tarah ka
pahle ki tarah aadmi milta to hai lekin
aadhe ki tarah ka kabhi paune ki tarah ka
Ghazal
Pane ki tarah ka na to khone ki tarah ka
Nadeem ahmad