panch din ko jo yahan par aa gaya
misl-e-gul do rose mein kumhla gaya
zindagi phusla ke le aai mujhe
kaun zalim us jagah bahla gaya
kyun chhuTa kar ek adam ke aish ko
dusra koi adam dikhla gaya
hasti-e-mauhum par jo ghaur ki
dosto be-tarah ji ghabra gaya
peshtar marne se marna KHub hai
jo ki ye samjhao wahi kuchh pa gaya
aah is dil ne na mani ek baat
naseha sau tarah se samjha gaya
ahl-e-duniya kafiran-e-mutlaq-and
masnawi-e-rum ye farma gaya
zaq-zaq-o-baq-baq ko ab tu chhoD de
tiflagi barna ka sab jhagDa gaya
sheb aaya ab to 'afridi' samajh
kya bharosa dam ka hai aaya gaya
kuchh khila le kha le le jaana nahin
jo gaya hai yan se so tanha gaya
kaun hai wo faqir-o-baadshah
jo kaf-e-afsos nahin malta gaya
hasrat-o-ranj-o-alam gham ke siwa
koi yan se wan ke tain le kya gaya
'afridi' yan sada rahna nahin
jo gaya hai wo yahi kahta gaya
Ghazal
Panch din ko jo yahan par aa gaya
Qasim Ali Khan Afridi

