pagal wahshi tanha tanha ujDa ujDa dikhta hun
kitne aaine badle hain main waise ka waisa hun
phir se mujh ko pagal-pan ka daura paDne wala hai
phir se tumhaari yaadon ki almari khole baiTha hun
apne siwa na kisi ko kuchh bhi samjha samjhunga shayad
main aise hi jiti hai main bhi aise hi jita hun
mera pinjra khol diya hai tum bhi ajib shikari ho
apne hi par kaT liye hain main bhi ajib parinda hun
mere yahan ka ek rasta mere apne andar jata hai
aur main isi raste pe na chalne ki zid le kar baiTha hun

Ghazal
Pagal wahshi tanha tanha ujDa ujDa dikhta hun
Tarkash Pradeep