اردو हिंदी
Pa ke tufan ka ishaara dariya | Shaahi Shayari
pa ke tufan ka ishaara dariya

Ghazal

Pa ke tufan ka ishaara dariya

Abdul Mannan Tarzi

;

pa ke tufan ka ishaara dariya
toD deta hai kinara dariya

kaise Dubegi bhanwar mein kashti
kaise dega na sahaara dariya

sail-e-himmat hain hamare bazu
Dub jaega tumhaara dariya

band afkar ne bandhe lekin
chaDh ke utra na hamara dariya

ahl-e-himmat ne Duboya sab ko
na-KHudaon se na haara dariya

ai asir-e-gham sahil idhar aa
beach dhaare se pukara dariya

himmat-e-tark-e-wafa Dub gai
kis ne aankhon mein utara dariya

mauj ne puchh liya kal 'tarzi'
kashti pyari hai ki pyara dariya