os paDi thi raat bahut aur kohra tha garmaish par
saili si KHamoshi mein aawaz suni farmaish par
fasle hain bhi aur nahin bhi napa taula kuchh bhi nahin
log ba-zid rahte hain phir bhi rishton ki paimaish par
munh moDa aur dekha kitni dur khaDe the hum donon
aap laDe the hum se bas ek karwaT ki gunjaish par
kaghaz ka ek chand laga kar raat andheri khiDki par
dil mein kitne KHush the apni furqat ki aaraish par
dil ka hujra kitni bar ujDa bhi aur basaya bhi
sari umr kahan Thahra hai koi ek rihaish par
dhup aur chhanw banT ke tum ne aangan mein diwar chuni
kya itna aasan hai zinda rahna is aasaish par
shayad tin nujumi meri maut pe aa kar pahunchenge
aisa hi ek bar hua tha isa ki paidaish par
Ghazal
Os paDi thi raat bahut aur kohra tha garmaish par
Gulzar