o dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja
ab main dil ko kya samjhaun mujh ko bhi samjhata ja
han mere majruh tabassum KHushk labon tak aata ja
phul ki hast-o-bud yahi hai khilta ja murjhata ja
meri chup rahne ki aadat jis karan bad-nam hui
ab wo hikayat aam hui hai sunta ja sharmata ja
ye dukh-dard ki barkha bande den hai tere data ki
shukr-e-neamat bhi karta ja daman bhi phailata ja
jine ka arman karun ya marne ka saman karun
ishq mein kya hota hai naseh aql ki baat sujhata ja
tujh ko abr-alud dinon se kaam na chandni raaton se
bahlata hai baaton se bahlata ja bahlata ja
donon sang-e-rah-e-talab hain rah-numa bhi manzil bhi
zauq-e-talab har ek qadam par donon ko Thukraata ja
naghme se jab phul khilenge chunne wale chun lenge
sunne wale sun lenge tu apni dhun mein gata ja
aaKHir tujh ko bhi maut aai KHair 'hafiz' KHuda-hafiz
lekin marte marte pyare wajh-e-marg batata ja
Ghazal
O dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja
Hafeez Jalandhari