nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai
kab iltifat tha ki jo KHu-e-sitam gai
phera bahaar ka to baras do baras mein hai
ye chaal hai KHizan ki jo ruk ruk ke tham gai
shayad koi asir abhi tak qafas mein hai
phir mauj-e-gul chaman se jo ba-chashm-e-nam gai
qabze mein josh-e-gul na KHizan dastaras mein hai
rahat bhi kab mili hai agar wajh-e-gham gai
han tarh-e-ashiyan bhi unhin KHar-o-KHas mein hai
bijli jahan pe KHas ba-rang-e-karam gai
han shaiba gurez ka bhi pesh-o-pas mein hai
wo be-ruKHi ki naz ka thi jo bharam gai
ab kaenat aur KHudaon ke bas mein hai
ab rahbari mein qudrat-e-dair-o-haram gai
jadu ghazal ka jazb-e-tamanna ke ras mein hai
yani wo dil ki baat dilon mein jo dam gai
Ghazal
Nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai
Mukhtar Siddiqui