اردو हिंदी
Numud-e-rang se begana-war aai hai | Shaahi Shayari
numud-e-rang se begana-war aai hai

Ghazal

Numud-e-rang se begana-war aai hai

Shiv Dayal Sahab

;

numud-e-rang se begana-war aai hai
KHizan ka bhes badal kar bahaar aai hai

malul-o-muzmahil-o-be-qarar aai hai
koi batae ye kaisi bahaar aai hai

asir-e-KHana-e-gulchin hain rang-o-bu ai dost
ye kis ke ahd mein aisi bahaar aai hai

suhag adh-khili kaliyon ka kis ne luT liya
bahaar kis liye yun sogwar aai hai

chaman fasurda gul aazurda ghunche pazhmurda
KHizan bahaar pe hai ya bahaar aai hai

na barg-o-gul ki tamanna na rang-o-bu ki hawas
'sahab' mujh ko KHizan saz-gar aai hai