nuqush-e-umr-e-guzishta sameT late hain
ye rang rang ke baadal kahan se aate hain
kabhi kabhi safar-e-zindagi se ruTh ke hum
tere KHayal ke sae mein baiTh jate hain
tasawwuraat ke hasrat-kade mein kaun aaya
charagh ta-had-e-ehsas jalte jate hain
hamein hai Dar koi tar-e-umid TuT na jae
sambhal sambhal ke unhen haal-e-dil sunate hain
bana gae hain wo yun saz-e-arzu ghar ko
ki aaj tak dar-o-diwar gungunate hain
unhin se hai mere ashkon ki aabru 'kausar'
jo aab-o-rang-e-ghazal ko ghazal banate hain
Ghazal
Nuqush-e-umr-e-guzishta sameT late hain
Kausar Jayasi