numayan jab wo apne zehn ki taswir karta hai
har ek ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gir karta hai
wo kyun masrur hota hai hamara KHun bahne se
sar-e-haq kis liye zalim tah-e-shamshir karta hai
wafa ka nam leta hai wafa-na-ashna ho kar
wo KHud ko intihai parsa tabir karta hai
jise mahrum hona hai wahi hai mutmain yaro
jo hai nusrat ka talib har qadam tadbir karta hai
har ek insan ke aamal bhi yaksan nahin hote
koi ghar toD deta hai koi tamir karta hai
sadaqat par kabhi un ka asar hone nahin pata
wo apne karnamon ki bahut tashhir karta hai
koi bhi masala 'abrar' hal hone nahin pata
masail wo hamare surat-e-kashmir karta hai
Ghazal
Numayan jab wo apne zehn ki taswir karta hai
Abrar Kiratpuri