numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe
supurdagi ke bhi pahlu kashidgi mein rahe
nazar uThi to uTha shor ek qayamat ka
na jaane kaise ye hangame KHamushi mein rahe
hawa-e-shahr-e-gharibi ki kaifiyat thi ajib
nashe mein rah ke bhi hum apne aap hi mein rahe
pukarte rahe kya kya na dil ke virane
hum aise shahr mein uljhe the shahr hi mein rahe
hisar-e-wahshat-e-dil se nikal to aae magar
tamam-umr ajab sehr-e-agahi mein rahe
meri wafa ki haqiqat ghubar-e-dasht-e-talab
meri wafa ke fasane teri gali mein rahe
kabhi to pahunchegi manzil pe sar-bulandi-e-shauq
is aasare pe maqamat-e-bandagi mein rahe
unhin se ubhri hain kitne ghamon ki taswiren
wo sae jo meri aankhon ki raushni mein rahe
hamein mila tha sharaf kaenat par 'baqar'
hamein kali ki tera dil giraftagi mein rahe

Ghazal
Numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe
Sajjad Baqar Rizvi