niyaz-agin hai aur naz-afrin bhi
agar sajde mein jhuk jae jabin bhi
haq-agahi se uTh jaenge parde
nazar ho nukta-ras bhi nukta-chin bhi
dilon mein chahiye wusat-nigahi
badal jati hai chashm-e-KHashmagin bhi
haqaeq par jami hai gard-e-baatil
hai gum wahmon mein ehsas-e-yaqin bhi
salamat un ka daman be-KHudi mein
liya hai hum ne kar-e-astin bhi
ujale hain mere qalb-o-nazar ke
ye mehr-e-zau-fishan mah-e-mubin bhi
ba-faiz-e-talKHi-e-haalat 'raunaq'
ibarat zahr se hai angbin bhi

Ghazal
Niyaz-agin hai aur naz-afrin bhi
Raunaq Deccani