اردو हिंदी
Nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin | Shaahi Shayari
nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin

Ghazal

Nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

;

nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin
darbanon ke naz uThana mere bas ki baat nahin

saqi mai saghar paimana mere bas ki baat nahin
sirf inhi se dil bahlana mere bas ki baat nahin

ishq o mohabbat kya hote hain kya samjhaun waiz ko
bhains ke aage bin bajaana mere bas ki baat nahin

marna to lazim hai ek din ji bhar ke ab ji to lun
marne se pahle mar jaana mere bas ki baat nahin

donon mein hai nur usi ka donon us ke maskan hain
ek kaba hai ek but-KHana mere bas ki baat nahin