اردو हिंदी
Nit-nai KHush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main | Shaahi Shayari
nit-nai KHush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main

Ghazal

Nit-nai KHush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main

Khalid Shirazi

;

nit-nai KHush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main
KHalq ke hathon ko masruf-e-dua rakhta hun main

KHushk dharti ko ata karta hun saya abr ka
qatra-e-baran pe dariya ki bina rakhta hun main

DhunDh hi leti hai mujh ko DhunDne wali nazar
apne sae ko agarche lapata rakhta hun main

kyun bhala aasudgi mere muqaddar mein nahin
kis liye din-raat KHud ko jagta rakhta hun main

phunkta rahta hun bahr-e-lafz mein 'KHalid' fusun
mauj-e-mani ko talatum-ashna rakhta hun main