nit-nae rang se karta raha dil ko pamal
barbat-e-jaan mein samaya hua ek husn-e-malal
umar kaTi hai ghani chhanw mein zulfon ki bahut
aao ab ranj ki dahliz pe sajde kuchh sal
wo badan jis ka ujala tha hamari jannat
dhyan mein us ke hue aaj magar kaise niDhaal
gori bahen bhi hamail raha karti thin kabhi
aur ab sar bhi uThana hua zanu se muhaal
tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman
tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal
har taraf apne andhera hi andhera lekin
aasman par ye sitaron ka chamakta hua jal
Ghazal
Nit-nae rang se karta raha dil ko pamal
Ahmad Hamdani