nisbat hi kisi se hai na rakhte hain hawale
han hum ne jala Dale hain rishton ke qabaale
be-ruh hain alfaz kahen bhi to kahen kya
hai kaun jo mani ke samundar ko khangale
jis samt bhi jaun main bikhar jaane ka Dar hai
is KHauf-e-musalsal se mujhe kaun nikale
main dasht-e-tamanna mein bas ek bar gai thi
us waqt se riste hain mere panw ke chhaale
be-chehra sahi phir bhi haqiqat hai haqiqat
sikka to nahin hai jo koi is ko uchhaale
'sarwat' ko andheron se Daraega koi kya
wo sath liye aai hai qadmon ke ujale

Ghazal
Nisbat hi kisi se hai na rakhte hain hawale
Noor Jahan Sarwat