nisar-e-shama hone bazm mein parwana aa pahuncha
qarib-e-manzil-e-diwangi diwana aa pahuncha
tarane hamd ke gulshan mein barg-e-gul se sunta hun
zaban-e-ghuncha pe kyunkar tera afsana aa pahuncha
ise kahte hain mil kar KHak mein iksir ho jaana
hua sarsabz wo zer-e-zamin jo dana aa pahuncha
safar is bazm se karne ko phir rajat ki Thani hai
gale phir aaj milne shama se parwana aa pahuncha
raqam hai dastan-e-ishq-e-bulbul patte patte par
gulon tak kis tarah gulshan mein ye afsana aa pahuncha
khinchi thi kya teri taswir tarkib-e-anasir se
ki musht-e-KHak mein andaz-e-mashuqana aa pahuncha
parastar-e-sanam ho kar jo DhunDi rah kaba ki
qadam bahka hua apna sar-e-mai-KHana aa pahuncha
banenge aaj phir sarmast sahba-e-suKHan 'raunaq'
qadam phir apna qurb-e-mahfil-e-rindana aa pahuncha

Ghazal
Nisar-e-shama hone bazm mein parwana aa pahuncha
Piyare Lal Raunaq Dehlwi