nikhar saka na badan chandni mein sone se
sahar hui to KHarashen chunin bichhaune se
sadaf liye hue ubhri hai lash bhi meri
bacha rahe the mujhe log gharq hone se
hunar hai tujh mein to qail bhi kar zamane ko
chamak uThegi na shakl aaine ko dhone se
lipaT rahi hain mere raston se raushaniyan
nazar mein log hain kuchh sanwle salone se
laga ke zaKHm bahane chala hai ab aansu
ruka hai KHun kahin paTTiyan bhigone se
hamin na hon kahin dekho to ghaur se logo
hain tifl-e-waqt ke hathon mein kuchh khilaune se
mere dukhon se bhi kuchh faeda uTha duniya
zamin ki pyas bujhe baadalon ke rone se
lahu ragon mein 'muzaffar' chhuDae mahtabi
mile hai kya use chingariyan chubhone se

Ghazal
Nikhar saka na badan chandni mein sone se
Muzaffar Warsi