اردو हिंदी
Nikhar aai nikhaar aai sanwar aai sanwar aai | Shaahi Shayari
nikhar aai nikhaar aai sanwar aai sanwar aai

Ghazal

Nikhar aai nikhaar aai sanwar aai sanwar aai

Nooh Narvi

;

nikhar aai nikhaar aai sanwar aai sanwar aai
gulon ki zindagi le kar gulistan mein bahaar aai

mashiyyat ko nahin manzur do din parsa rakhna
idhar ki main ne tauba aur udhar fauran bahaar aai

asiran-e-qafas ko wasta kya in jhamelon se
chaman mein kab KHizan aai chaman mein kab bahaar aai

mujhe gulshan se ai josh-e-junun sahra ko ab le chal
yahan is ke siwa kiya hai KHizan aai bahaar aai

hamesha baada-KHwaron par KHuda ko mehrban dekha
jahan baiThe ghaTa uTThi jahan pahunche bahaar aai