اردو हिंदी
Nikal gae the jo sahra mein apne itni dur | Shaahi Shayari
nikal gae the jo sahra mein apne itni dur

Ghazal

Nikal gae the jo sahra mein apne itni dur

Sagheer Malal

;

nikal gae the jo sahra mein apne itni dur
wo log kaun se suraj mein jal rahe honge

adam ki nind mein soe hue kahan hain wo ab
jo kal wajud ki aankhon ko mal rahe honge

mile na hum ko jawab apne jin sawalon ke
kisi zamane mein un ke bhi hal rahe honge

bas is KHayal se dekha tamam logon ko
jo aaj aise hain kaise wo kal rahe honge

phir ibtida ki taraf hoga intiha ka ruKH
hum ek din yahan shaklen badal rahe honge

'malal' aise kai log honge raste mein
jo tum se tez ya aahista chal rahe honge