اردو हिंदी
Nikal zat se bahar nikal tanhai | Shaahi Shayari
nikal zat se bahar nikal tanhai

Ghazal

Nikal zat se bahar nikal tanhai

Shuja Khaavar

;

nikal zat se bahar nikal tanhai
kamal jab hai ki sheron mein Dal tanhai

azab-e-jaan bhi jahan mein nahin koi aisa
rafiq bhi hai baDi be-misal tanhai

tamam zindagi do waqiat mein yun hai
uruj us ki rifaqat zawal tanhai

koi bhi waqt ho tera hi zikr karti hai
kabhi to puchhe hamara bhi haal tanhai

agarche shahr mein bikhri hai ja-ba-ja phir bhi
'shujaa' apne liye ghar mein pal tanhai