nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
man ki lori sa bachche ke dudh kaTore jaisa chand
munni ki bholi baaton si chaTkin taron ki kaliyan
pappu ki KHamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kaTi main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi mein le kar ghanTon chuma hoga chand
pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain
bhabi ki chheDon sa baadal aapa ki chuTki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani
tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand
Ghazal
Nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
Nida Fazli