اردو हिंदी
Nil-e-falak ke ism mein naqsh-e-asir ke sabab | Shaahi Shayari
nil-e-falak ke ism mein naqsh-e-asir ke sabab

Ghazal

Nil-e-falak ke ism mein naqsh-e-asir ke sabab

Muneer Niyazi

;

nil-e-falak ke ism mein naqsh-e-asir ke sabab
hairat hai aab-o-KHak mein mah-e-munir ke sabab

ban mein alahidgi si hai us ke jamal-e-sabz se
daim faza firaq ki shajar-e-pir ke sabab

wusat-e-shahr-e-tang-dil sarma ki subh-e-sard mein
jagi hai Dar ke KHwab se surat-e-faqir ke sabab

sahn-e-makan mein shal hai dast-e-dua-e-agahi
dil mein hai shauq-e-be-hisab had ki lakir ke sabab

zaKHm-e-wajud ki dawa bas wahi aaKHiri sada
zinda hun jis ke shauq mein sabr-e-kabir ke sabab

sehr hai maut mein 'munir' jaise hai sehr-e-aina
sari kashish hai chiz mein apni nazir ke sabab