nigahban-e-chaman ab dhup aur pani se kya hoga
muqaddar mein hai taraji nigahbani se kya hoga
masafat hijr ki ye soch kar tai kar rahe hain hum
agar mushkil nahin hogi to aasani se kya hoga
dil-e-nadan ne sare marke sar kar liye aaKHir
ye nadani thi hum samjhe the nadani se kya hoga
na kuchh ho kar bhi apni zat mein ek anjuman hain hum
atiyya hai ye darweshi ka sultani se kya hoga
saliqa chahiye kar-e-junun ka ai junun walo
tawaf-e-dasht se aur chaak-damani se kya hoga
bahut dushwar hai fikr-e-ghazal mein taq ho jaana
hunar-mandi zaruri hai hama-dani se kya hoga
KHuda ki KHas neamat hai sukun-e-jaan-o-dil 'tariq'
pareshani mein daulat ki farawani se kya hoga
Ghazal
Nigahban-e-chaman ab dhup aur pani se kya hoga
Tariq Matin