nigah ki shoala-fazai ko kam hai did us ki
charagh chahta hai lau zara mazid us ki
darun-e-dil kisi zaKHm-e-dahan-kusha ki tarah
bahut dinon se talab hai baDi shadid us ki
mila to hai koi bint-e-inab sa lab lekin
hamare shahr mein mamnua hai kashid is ki
ab us ka haq hai bahisht-e-badan pe ja uThna
nigah hui hai rah-e-did par shahid us ki
main sar-ba-KHak hun taki wo surKH-ru ho jae
bapa jo matam-e-dil ho to phir ho id us ki

Ghazal
Nigah ki shoala-fazai ko kam hai did uski
Syed Kashif Raza