nigah ke samne us ka junhi jamal hua
wo dil hi jaane hai us dam jo dil ka haal hua
agar kahun main ki chamka wo barq ki manind
to kab masal hai ye us ki jo be-misal hua
qarar o hosh ka jaana to kis shumar mein hai
gharaz phir aap mein aana mujhe muhaal hua
idhar se bhar diya mai ne nigah ka saghar
udhar se zulf ka halqa gale ka jal hua
bahaar-e-husn wo aae nazar jo us ki 'nazir'
to dil wahin chaman-e-ishq mein nihaal hua

Ghazal
Nigah ke samne us ka junhi jamal hua
Nazeer Akbarabadi