اردو हिंदी
Nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de | Shaahi Shayari
nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de

Ghazal

Nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de

Asar Lakhnavi

;

nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de
ishq ko husn bana husn ko hairani de

dil-nawazi mein bhi iza hai mohabbat ki qasam
tujh ko fursat jo kabhi shughl-e-sitam-rani de

kuchh teri chashm-e-suKHan-saz ka ima na khula
lab-e-mai-nosh ko taklif-e-gul-afshani de

phul wo hai jo mayassar chaDhe ye sunta tha
ab khula dil ki rah-e-ishq mein qurbani de

aaina sang-e-dar-e-dost hua bhi to kya
sar jo sajde mein jhuke lau teri peshani de

uf wo purkar jo sunte hi taghaful ka gila
ishwa-o-naz ko talim-e-pashimani de

dil-e-betab-e-tamasha ki tasalli malum
apne har jalwe ko ek paikar-e-insani de

us ki angDai ka aalam to kabhi dekh ai gul
aur hi husn teri chaak-garebani de

aao shiraaza-e-hasti ko pareshan kar den
yun ki us zulf ko paigham-e-pareshani de

teri sarkar ghani tera gada bhi hai ghani
kuchh na de aur jo de gham ki farawani de

is tawaqqo pe hun KHamosh ki wo shoKH-nigah
phir Tahoka pa-e-taqrib-e-ghazal-KHwani de