nigahon par nigahbani bahut hai
nawazish zill-e-subhani bahut hai
yahan aise hi hum kab baiTh jate
tere kuche mein virani bahut hai
abhi qasd-e-safar ka qissa kaisa
abhi rahon mein aasani bahut hai
teri aankhen KHuda mahfuz rakkhe
teri aankhon mein hairani bahut hai
lab-e-dariya zaban se tar karenge
abhi talwar mein pani bahut hai
mubarak un ko sultani adab ki
mujhe to us ki darbani bahut hai

Ghazal
Nigahon par nigahbani bahut hai
Sheen Kaaf Nizam