nigahon ne kai sapne bune hain
silai mein magar uljhe hue hain
azal se aankhon mein Thahre hue hain
ye aansu to hamare munh lage hain
tasawwur mein tumhein la kar yahan par
bahut se log shaer ban gae hain
kisi bhi samt ja kar dekh len hum
tumhaari samt hi raste khule hain
shajar ka imtihan jari rahega
abhi to shaKHon par patte bache hain
nigah-e-shauq to dhundhla gai ab
chalo masjid mein chal kar baiThte hain
Ghazal
Nigahon ne kai sapne bune hain
Sunil Kumar Jashn