nigah tur pe hai aur jamal sine mein
ye kaifiyat hai tera nam le ke pine mein
junun ko hosh kahan sanwle mahine mein
khila hua hai chaman aarzu ka sine mein
chaman mein jab bhi tere pairahan ki bu aai
bahaar bhig gai sharm se pasine mein
yunhi nahin hai surur-e-shab-e-firaq ai dost
kaTi hai raat sitaron ka nur pine mein
teri nigah mein hai sirf KHatra-e-girdab
ye dekh saikDon tufan mein safine mein
jahan giren mere aansu gulab khil jaen
bhara hua hai lahu dil ke aabgine mein
yun muskura ke tera aansuon ko pi jaana
koi to raaz hai ai 'ramz' aise jine mein

Ghazal
Nigah tur pe hai aur jamal sine mein
Ramz Azimabadi