nigah oT rahun kasa-e-KHabar mein rahun
main bujhte bujhte bhi pairahan-e-sharar mein rahun
main KHud hi roz tamanna mein aap sham-e-firaq
ajab nahin jo akeli bhare nagar mein rahun
sulag uThi to andheron ka rakh liya hai bharam
jo raushni hon to kyun chashm-e-nauha-gar mein rahun
tamam umr safar mein guzar dun apni
tamam umr tamanna-e-rahguzar mein rahun
likha gaya mujhe aawaz-e-KHamushi ki tarah
KHud apna aks banun saya-e-hunar mein rahun
wo tishnagi thi ki shabnam ko honT tarse hain
wo aab hun ki muqayyad guhar guhar mein rahun
'ada' main nikhat-e-gul bhi na thi saba na thi
ki mehman si rahun aur apne ghar mein rahun
Ghazal
Nigah oT rahun kasa-e-KHabar mein rahun
Ada Jafri